Santa lagataar ho rahi baarish se bahut pareshan tha. Kapde dhone the usne aur barish hai ki rukne ka naam hi nahin le rahi thi. Santa ko lagne laga ki baarish uske peeche pad gayi hai aur usko kapde dhone nahin degi!!
Phir eik din achi dhoop nikli. Santa ko laga ki aaj toh kapde dho ke hi rahunga. Gaya dukaan pe Surf kharidne ke liye. Abhi paise dene hi wala tha ki pata nahin kahan se baadal ghir ke aa gaye aur garajane lage.
Santa ne baadlon ki taraf dekhte hue kaha.. "Haanji janaab kidhar..! Main toh biscuit lene aya tha..!"
:) :)